Sunday, February 10, 2019

Youtube Monetization 2019

Youtube Monetization Rules 2019 in Hindi

Youtube-Monetization-Rules-2019 in-hindi
Youtube Monetization Rules 2019

Kya hoga agar 1 Year me 1K subscribes  aur 4000 hours watch nahi ho pate....?

Namaskar Dosto...
Mai aaj apko batane ja raha hu ki agar apke YouTube Channel ko 1 Year me 1K subscribes aur 4000 Hours nahi huye hai to Apke YouTube Channel ka kya hoga...
Dosto hum sabhi jante hai aaye din YouTube apni Policies me naye-naye  badlaav lata rahta hai...
Lekin ye jo YouTube ki jo policies jo hoti hai wo achche Youtubers Ke liye humesha faydemand hoti hai.

Youtube ki ek Policy ke anusaar agar aap 1 Year me 1K subscribes aur 4000 hour watch time nahi kar paye to apka channel Monetize nahi hoga...
aur ye sunkar Hamare bahut sare Youtubers Bhaiyo ne apne Youtube Channel hi band kar diye.

Lekin aap logo ko Youtube ki 1K Subscribes aur 4000 hours wali policy ke bare me thik se jankari nahi hai.

Darasal aap Youtube Apna 1 year us Date se count kare jab aap apne channel ke liye Adsense ke liye apply Karege.

Maan lijiye aapne Apna Youtube Channel 9 February 2019 ko banaya aur fir aapne apne Youtube Channel ko 21 March 2019 ke liye Adsense ke liye apply kiya to YouTube apka 1 Year 21 March 2019 se count karega. Matlab ab apko 21 March 2020 tak apne channel ke liye 1K Subscribers aur 4000 Hours ka watch ka target complete kar lena hai...

Kya kare ?

Ab sawaal uthta hai ki Youtubers kya kare ?
To iske liye apko ye krna hoga ki jab bhi aap apne Youtube Channel ko banaye to apko turant adsense ke liye apply nahi karna hai...

Aap Tabhi apne Youtube Channel adsense ke liye apply kare jab apke channel par 1k Subscribers ho aur 4000 hours ka watch time ho jaye.

Dosto apko aaj ki humari jankari kaisi lagi. Aap comment Box me bta salted hai. Sath hi Apne Youtubers Dosto ko post share bhi kar sakte hai. Agar apke man me Youtube ya Technology se related koi sawaal hai to aap comments me likh kar puch sakte hai.

Aisi hi Technology, Study, Jobs, Health, related kisi bhi tarah ki jankari ke liye aap liye Humari blog ko email box me apni email ID dal kar subscribe kar le.
Isse apko humare dwara dali Gayi sabhi post ki Notification milti rahegi...

No comments:

Post a Comment